Thursday 5 June 2014

HAZRAT AMEER MUAWIYA R.A. KI SHAN, NISBATEIN WA KHIDMAAT… 10 OF 15

Aaj ke daur mein koi column nawees, koi writer, koi tareekhdan likhega to kya likhega aur phir Muawiya R.A. ke bare mein likhega to kya likhega, uske likhne se pahle, uske likhe tareekh ke awraq par yaqeen kar ke, Muawiya R.A. ka kirdar padhne se pahle main khud uski hasiyat poochunga, teri hasiyat kya hai, wo kahega main musalman hun, aur kya hai? wo kahega, Main fala ka khalifa hun, aur kya hai? Main fala madarse se farigh hun, main kahunga aur bata teri ahemiyat kya hai? wo kahega main Allama hun, aur kya hai? wo kahega main muqqiq hun, aur kya hai, main fala madarse ka mohtamim hun. Aur kya hai, phir wo apni nisbatein batayega, ki fala maslak, fala maktabe fikr, fala giroh se mera talluq hai, aur bata, wo kahega main fala jagah us Islami committee ki shura ka rukn hun, main kahunga tu apni nisbatein bata chuka lekin teri in nisbaton aur haisiyat par Quran shahid nahi, Nabi SAWW ki zaban shahid nahi, teri nisbat par Nabi SAWW ki mohar nahi, teri nisbat par Abu Bakr, Umar, Usman wa Ali R.A.A. ki mohar nahi, lekin tu jiske khilaf bolne laga hai, tu jiske khilaf likhne laga hai uski nisbat par Quran ki mohar hai, uski shakhsiyat par Nabi SAWW ki zaban mubarak shahid hai, us par Abu Bakr, Umar, Usman wa Ali R.A.A. ko mohre hain, tu jiske khilaf bolne laga hai wo Islam ka azeem mujahid hai, tu jiske khilaf bolne laga hai wo Islam ka chhatha khalifa hai, tu jiske khilaf bolne laga hai usne Islami hukumat ka dayera 64 lakh 65 hazar murabba meel badhaya hai, tu jiske khilaf bolne laga hai use Aliul Murtaza R.A. ne apna bhai kaha hai, Tu jiske khilaf bolne laga hai use Hasan wa Hussain R.A. ne apna imam mana hai, tu jiske khilaf bolne laga hai use Ahle Bayt R.A. ne apna muqtada mana hai, tu jiske khilaf bolne laga hai aur tareekh ke chand awraq samne lakar jiske khilaf labkushayi karne laga hai uski shan mein Umar bin Abdul Azeez Rh.A. ki, uski shan mein waqt ke azeem fuqaha ki, uski shan mein waqt ke azeem muhaddiseen ki, Auliya Allah Buzurgane Deen ki mohre hain, uski shan mein waqt ke qutub aur abdal ki mohre hain, tere munh par khak ho, tujhe sabse pahle Ameer Muawiya R.A. ki haisiyat ye batani hai ki Muawiya R.A. ne Kalma padha, tere aur aur mere daur mein nahi, tere aur mere zamane mein nahi, Ameer Muawiya R.A. ne kalma padha hai to Nabi SAWW ke daur mein, aur sirf daur mein nahi Nabi SAWW ka chehra-e-anwar dekh kar padha hai, Ameer Muawiya R.A. ne na sirf Nabi SAWW se kalma unka chehra dekh kar padha hai aur jo Nabi SAWW ke zamane mein Nabi AS se kalma padhe aur iman par he khatma ho jaye, use Islam ek muqaddas mansab milta hai, use ek Tamgha milta hai, use aam musalmano par ek fadheelat milti hai jise Sahabi kahte hain isliye Ameer Muawiya R.A. ki sabse pahli nisbat Sahabi-e-Rasool (SAWW) hai.
Iska agla hissa agli post mein kiya jayega INSHAALLAH.
JAZAKALLAHU KHAIRAN KASEERAN KASEERAH.
Muhammad Raghib Khan
A Slave of ALLAH SWT.

No comments:

Post a Comment