* SAWAL : FIRON jab doobne Laga tha to us waqt uske paas Hazrat Jibreel Alaihissalam kya lekar aaye the?
.
>> JAWAB : Ek martaba Jibreel Alaihissalam Firon ke paas ek Mazmoon leke Aaye jiska khulasa ye tha.... > Baadshah ka kya Hukm hai aise Gulam ke Haq me,jisne ek Shakhs ke Maal-o Nemat me Parwarish paayee,fir uski Naa shukri ki aur uske Haq ka Munkir hogaya aur apne Aap ko "RAB" hone ka Dawa karne laga.... Is Sawal ka Jawab Firon ne yu diya : jo Gulamapne Aaqa ki Nematon ka Inkar kare aur uske Maqabil aaye to uski Saza ye hai ke usko "DARYA" me Dubo diya jaaye... Jab Firon Darya me Doobne laga to Hazrat Jibreel Alaihissalam ne uska wahi "FATWA" uske samne kardiya aur usko Firon ne Pahchan bhi liya.
(Khaza-e-Nul Irfan,Parah - 11,Ruku - 14)
.
*SAWAL : Firon ne apne aap ko "KHUDA" hone ka dawa karne ke kitne SAAL baad Darya me Garq huwa.
.
>> JAWAB : Firon "Khaudayee" ka Daawa karne ke 40 Saal Baad Darya me Garq huwa.
(Ibn-e Kaseer,Parah-17,Ruku-13)
.
*SAWAL : Fron ne kitne Saal duniya me Hukumat ki? Aur woh duniya me kitne Saal Zinda raha?
.
>> JAWAB : Firon ne 400 Saal Hukumat ki... Aur woh 620 Saal tak Duniya me Zinda raha.
(Hashiya - 8, Jalaleen Safa No - 138)
*SAWAL : Jab bani Israil ko Firon ke Doob ke Marne ka Yaqqen na huwa to Allah paak ne kya Nishani Zahir Farmayee thi.
.
>> JAWAB : Jab Firon apne Lashkar ke saath Darya me Garq huwa to Bani Israil ko Yaqeen na aaya to Allah pak ne Paani ko Hukm diya ke Laash ko Darya se Bahar nikal kar kinare phenk de. Taake Bani Israil Dekh kar yaqeen karle... Isse pahle jo koi bhi "PAANI" me Garq hota tha to uski Laash Doob jaaya karti thi... Lekin Firon ke baad se Paani ne Laash ko Qubool karna band kardiya.
"ALLAHU AKBAR"
(Hashiya - 16,Jalaleen Safa No - 178)

No comments:
Post a Comment